aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge
un ko malum hai kuchh ahl-e-nazar aaenge
ru-ba-ru yar ke gar bar-e-digar jaenge
kar ke hum ek baDa marka sar aaenge
ye to dhamki hai ki wo ghair ke ghar jaenge
ham-nashin dekhna hir-phir ke idhar aaenge
sabr karne ko jo kahte hain nahin aate hain
kya mere zaKHm-e-jigar aap hi bhar aaenge
kaun umid meri aap se puri hogi
kaun arman mere aap se bar aaenge
lakh pardon mein rahen mujh se nihan roz-ba-roz
KHwab mein wo mujhe har shab ko nazar aaenge
dar se phir us but-e-pur-fan ke hamare nale
saf zahir hai ki mayus-e-asar aaenge
chashm-e-bina se jo dekhenge mera parda-e-dil
ai masiha kai nasur nazar aaenge
koi kah do ki bas ab aur tawaqquf na karen
warna hum ji se guzarne pe utar aaenge
na-tawani se hamari tujhe kya tera sambhaal
hum tere samne phir sina-sipar aaenge
aazmaenge gham-e-hijr ka ek aur ilaj
kar ke sahra mein kuchh ayyam basar aaenge
rahbari KHak rah-e-ishq mein in se hogi
dil agar hazrat-e-'rahbar' kahin dhar aaenge

Ghazal
Aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge
Jitendra Mohan Sinha Rahbar