aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai
sari duniya mere daman mein simaT aai hai
husn masruf-e-tajalli-o-KHud-arai hai
wo tamasha hi nahin KHud bhi tamashai hai
aap se pahle kahan gham se shanasai thi
mil gae aap to har gham se shanasai hai
is tarah dekhna jaise mujhe dekha hi nahin
ye ada aap ki KHud mazhar-e-yaktai hai
chand kaliyan hi nahin sara chaman apna hai
kaun Tokega hamein kis ki qaza aai hai
jis mein dahke hue shoale ki si tasir na ho
wo 'ziya' sher nahin qafiya-paimai hai
Ghazal
Aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai
Bakhtiyar Ziya