aaj kya dekha KHalaon ke sunahre KHwab mein
regzaron ke siwa kuchh bhi nahin mahtab mein
jab se pahna hai nae mausam ne zaKHmon ka libas
phul se khilne lage hain dida-e-KHun-nab mein
nisf shab ko nind mein chalta hua paikar koi
naqsh-e-pa kyun chhoD jata hai dayar-e-KHwab mein
wo to KHud apne tajassus mein bhaTak kar rah gae
tazkira tha jin ki azmat ka bahut ahbab mein
chheDta hai saz-e-shab ko yun samundar ka sukut
Dub jati hai faza sangit ke sailab mein
Ghazal
Aaj kya dekha KHalaon ke sunahre KHwab mein
Prem Warbartani