اردو हिंदी
Aaj kuchh kahne ko thi shoKHi-e-tadbir meri | Shaahi Shayari
aaj kuchh kahne ko thi shoKHi-e-tadbir meri

Ghazal

Aaj kuchh kahne ko thi shoKHi-e-tadbir meri

Jami Rudaulvi

;

aaj kuchh kahne ko thi shoKHi-e-tadbir meri
hans paDi pas khaDi thi kahin taqdir meri

TuTte hi se hui dil mein kashakash paida
meri taKHrib mein poshida thi tamir meri

hurriyat zulmat-e-zindan mein janam leti hai
inqilabaat ki tariKH hai zanjir meri

apni jaanib kabhi dekha hi nahin tha warna
wusaten donon jahanon ki hain jagir meri

dosti kaisi rah-o-rasm-e-umumi bhi gai
pyar ki baat kahi aap se taqsir meri

main kahan aap kahan did ki ummid kahan
yaad aaun jo kabhi dekhiye taswir meri

ibrat-amoz hai duniya ka taghayyur 'jami'
mujh se milti nahin do roz ki taswir meri