اردو हिंदी
Aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao | Shaahi Shayari
aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao

Ghazal

Aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao

Zaheer Kashmiri

;

aaj ki tanhai se niklo kal ki aabaadi mein aao
jaanan ki turbat se uTTho dauran ko sine se lagao

KHub nahin ye tarz-e-takalluf aaj taaruf ho jaane do
main bhi apne sar ko jhukaun tum bhi apni tegh uThao

TeDhi narden ulTe KHane madd-e-muqabil be-uslub
ye chausar ka khel bhi kya hai chaal chalo to munh ki khao

tum hi qatil tum hi munsif phir bhi mujhe afsos nahin
aaKHir mere dil mein kya hai bujh sako to baat batao

dil ka virana bhi wahi hai teri tamanna bhi hai wahi
zulmat mein raushan hai sitara sahra mein jalta hai alao