aaj ki tariKH mein insan mukammal kaun hai
ye pata kaise chale ki kis ka maqtal kaun hai
pas hi rahta wo har dam sehr ho ya ho nasha
KHushbu jaisa hai hawaon mein musalsal kaun hai
sadgi ki apsara wo ya hai koi sahiri
hai ghazal ya hai wo sandal shoKH chanchal kaun hai
us chhalakte se samundar mein nasha hai aaj tak
jhum kar barsa hai pagal uf ye baadal kaun hai
bhai bhai laD rahe hain is siyasi khel mein
saf likkha hai ye quran mein ki afzal kaun hai
be-KHabar hain panchhi nadiyan sarhadon ki rok se
be-sabab hi mulk mein karta ye danggal kaun hai
jugnuon ko jalte dekha to samajh aaya mujhe
kaisa sannaTa hai jangal karta mangal kaun hai
Ghazal
Aaj ki tariKH mein insan mukammal kaun hai
Aradhana Prasad