aaj ki shab jaise bhi ho mumkin jagte rahna
koi nahin hai jaan ka zamin jagte rahna
qazzaqon ke dasht mein jab tak qafila Thahre
qafile walo raat ho ya din jagte rahna
tariki mein lipTi hui pur-haul KHamoshi
is aalam mein kya nahin mumkin jagte rahna
aahaT aahaT par jaane kyun dil dhaDke hai
koi nahin atraf mein lekin jagte rahna
ThanDi hawaon ka ai dil ehsan na uThana
koi yahan hamdard na mohsin jagte rahna
rah-numa sab dost hain lekin ai ham-safro
dost ka kya zahir kya baatin jagte rahna
taron ki aankhen bhi bojhal bojhal si hain
koi nahin ab 'shair' tujh-bin jagte rahna
Ghazal
Aaj ki shab jaise bhi ho mumkin jagte rahna
Himayat Ali Shayar