اردو हिंदी
Aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman | Shaahi Shayari
aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

Ghazal

Aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman

Ibn-e-Safi

;

aaj ki raat kaTegi kyun kar saz na jam na to mehman
subh talak kya jaaniye kya ho aankh lage ya jae jaan

pichhli raat ka sannaTa kahta hai ab kya aaenge
aql ye kahti hai so jao dil kahta hai ek na man

mulk-e-tarab ke rahne walo ye kaisi majburi hai
honTon ki basti mein charaghan dil ke nagar itne sunsan

un ki banhon ke halqe mein ishq bana hai pir-e-tariq
ab aise mein batao yaro kis ja kufr kidhar iman

hum na kahenge aap ke aage ro ro dide khoe hain
aap ne bipta sun li hamari baDa karam lakhon ehsan