aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah
hath aae na sitare tere aanchal ki tarah
hadsa koi to guzra hai yaqinan yaro
ek sannaTa hai mujh mein kisi maqtal ki tarah
phir na nikla koi ghar se ki hawa phirti thi
sang hathon mein uThae kisi pagal ki tarah
tu ki dariya hai magar meri tarah pyasa hai
main tere pas chala aaunga baadal ki tarah
raat jalti hui ek aisi chita hai jis par
teri yaaden hain sulagte hue sandal ki tarah
main hun ek KHwab magar jagti aankhon ka 'amir'
aaj bhi log ganwa den na mujhe kal ki tarah
Ghazal
Aaj ki raat bhi guzri hai meri kal ki tarah
Ameer Qazalbash