aaj-kal ke shabab dekhe hain
sare KHana-KHarab dekhe hain
phul jaise husain chehre bhi
hae sahte azab dekhe hain
ishq ki rah mein wo luTte hue
hum ne lakhon janab dekhe hain
hai ye ulfat bhi kya bala sahab
is mein jhukte nawab dekhe hain
ek ek pal ko yaad rakhte the
wo tumhaare hisab dekhe hain
tum haTa do ye apne chehre se
hum ne kafi naqab dekhe hain
pahle mohsin the phir bane zalim
log aise itab dekhe hain
jis pe mahtab tum rahe marte
ab wo hote sarab dekhe hain
Ghazal
Aaj-kal ke shabab dekhe hain
Bashir Mehtaab