اردو हिंदी
Aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai | Shaahi Shayari
aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai

Ghazal

Aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai

Shamim Jaipuri

;

aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai
muddaton baad teri rahguzar aai hai

zindagi ka koi ehsas hi baqi na raha
zindagi le ke mujhe aaj kidhar aai hai

aap dekhen to zara KHun-e-tamanna ki bahaar
kitni surKHi meri aankhon mein utar aai hai

kis ke pairahan-e-rangin ki mahak hai is mein
aaj ye baad-e-saba ho ke kidhar aai hai

tu ne KHud tark-e-mohabbat ki qasam khai thi
kyun teri aankh mujhe dekh ke bhar aai hai

ab kisi jalwa-e-rangin se mujhe kaam nahin
un ki taswir mere dil mein utar aai hai

is mein kuchh un ki jafaen bhi to shamil hain 'shamim'
bewafai ki jo tohmat mere sar aai hai