اردو हिंदी
Aaj ji mein hai ki khul kar mai-parasti kijiye | Shaahi Shayari
aaj ji mein hai ki khul kar mai-parasti kijiye

Ghazal

Aaj ji mein hai ki khul kar mai-parasti kijiye

Qayem Chandpuri

;

aaj ji mein hai ki khul kar mai-parasti kijiye
KHub si mai pijie aur der masti kijiye

zohd-e-KHushk aaKHir kahan tak maya-e-tar-damani
gharq lae mai bhi chande raKHt-e-hasti kijiye

tang-tar hai dast-e-hajat se dil abna-e-dahr
kis ke aage zahir apni tang-dasti kijiye

darpae-virani-e-dil hai jo basta hai yahan
kis tarah ya-rab is ujaD ghar ko basti kijiye

lab pe fawware ke jari hai ye misra dam-ba-dam
de agar KHaliq bulandi mail-e-pasti kijiye

muft tak dun hun main dil tis par koi leta nahin
han magar is se bhi kuchh ye jins sasti kijiye

Tuk gareban aaj phaT kar dhajjiyen ho le to phir
chaak par sine ke 'qaem' pesh-dasti kijiye