aaj inkar na farmaiye aap
shab ki shab ghar mere rah jaiye aap
jaiye ghar ko na ghabraiye aap
hum na mar jaenge bas jaiye aap
khol do shauq se band angiya ke
leT kar sath na sharmaiye aap
aate hi kahte ho main jaunga
main bhi aane ka nahin jaiye aap
DhunDhte phiriye agar le ke charagh
mujh sa aashiq jo kahin paiye aap
umr bhar to na qadam-ranja kiya
aaiye ab to na tarsaiye aap
jaan-e-mushtaq labon par aai
kuchh wasiyyat hai wo sun jaiye aap
dil samajhta nahin mujh se naseh
aap se samjhe to samjhaiye aap
saya-san shauq mein uftan-KHezan
sath rahta hun jidhar jaiye aap
main dikhaun jo junun ki hai sifat
shan be-rahmi ki dikhlaiye aap
TukDe TukDe main gareban ke karun
purze purze mere aaDaiye aap
shad ho ruh agar baad-e-fana
sham-o-gul gor pe bhijwaiye aap
jaan sadqe karun kya mal hai jaan
kaT dun sar ko jo farmaiye aap
munh pe munh rakkha to bole kya KHub
pahle munh apna to banwaiye aap
ghair kaTne lagen bandh jae hawa
mujh se tukkal agar uDwaiye aap
nam tak lun na kabhi hun wo bashar
ab agar hur bhi ban jaiye aap
hath se 'rind' ko khote ho abas
kahin aisa na ho pachhtaiye aap
Ghazal
Aaj inkar na farmaiye aap
Rind Lakhnavi