اردو हिंदी
Aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai | Shaahi Shayari
aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

Ghazal

Aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai

Zia Jalandhari

;

aaj hi mahfil sard paDi hai aaj hi dard farawan hai
koi to dil ki baaten chheDo yaro mahfil-e-yaran hai

mere har aadarsh ka aalam ab to aalam-e-viran hai
dil mein teri tamanna jaise mauj-e-reg-e-bayaban hai

panw thakan se chur hain lekin dil mein shoala-e-imkan hai
mere liye ek karb-e-musalsal tera jamal-e-gurezan hai

mujh se milne ke KHwahan ho mil kar rone se hasil
phir wo aag bhaDak uTThegi ab jo rakh mein pinhan hai

ain-KHizan mein hawa ne shayad nam liya hai bahaaron ka
Tahni Tahni kanp uTThi hai patta patta larzan hai

aa to gae hain aane wale kaise istiqbaal karen
ab wo aabaadi suni hai ab wo gharaunda viran hai

tere dukh ko pa kar hum to apna dukh bhi bhul gae
kis ko KHabar thi teri KHamoshi tah-dar-tah ek tufan hai