aaj har samt bhagte hain log
goya chauraha ho gae hain log
har taraf se tuDe-muDe hain log
jaane kaise Tike hue hain log
apni pahchan bhiD mein kho kar
KHud ko kamron mein DhunDte hain log
band rah rah ke apne kamron mein
tabalon par khule khule hain log
le ke barud ka badan yaro
aag lene nikal paDe hain log
rasta kis ke panw se uljhe
khunTiyon par Tange hue hain log
Ghazal
Aaj har samt bhagte hain log
Sheen Kaaf Nizam