aaj gum-gashta KHayalat ne chaunkaya hai
phir koi dasht-e-junun se mujhe le aaya hai
zehn-e-awara ne ehsas ko rahen de kar
manzil-e-dar-o-rasan tak mujhe pahunchaya hai
KHauf ne luT li har gam pe nabzon ki asas
dar-ba-dar ruh ki galiyon mein mera saya hai
hausle aaj bhi miras hain mere dil ke
main ne har-gam pe tufan ko palTaya hai
be-KHatar kaun chala jaanib-e-manzil 'manzar'
kis ka lahja hai jo mahaul se Takraya hai
Ghazal
Aaj gum-gashta KHayalat ne chaunkaya hai
Jawed Manzar