aaj dil se dua kare koi
haqq-e-ulfat ada kare koi
jis tarah dil mera taDapta hai
yun na taDpe KHuda kare koi
jaan-o-dil hum ne kar diye qurban
wo na mane to kya kare koi
dil-e-betab ki tamanna hai
phir kahun main suna kare koi
mast nazron se KHud mera saqi
phir pilaiye piya kare koi
mai-e-irfan ke hum bhi hain mushtaq
dar-e-mai-KHana wa kare koi
shauq-e-didar dil mein hai 'darshan'
aa bhi jae KHuda kare koi
Ghazal
Aaj dil se dua kare koi
Darshan Singh