اردو हिंदी
Aaj dil be-qarar hai mera | Shaahi Shayari
aaj dil be-qarar hai mera

Ghazal

Aaj dil be-qarar hai mera

Wali Uzlat

;

aaj dil be-qarar hai mera
kis ke pahlu mein yar hai mera

kyun na ushshaq par houn mansur
jun sipand aah-dar hai mera

be-qarar us ka hunga hashr mein bhi
yahi us se qarar hai mera

rang-e-zard aur sarishk-e-surKH to dekh
kya KHizan mein bahaar hai mera

mere qatil ke kaf hinai nahin
musht-KHun yaadgar hai mera

khol kar qabr dekh mashq-e-junun
ki kafan tar tar hai mera

aate jate magar tu Thukrawe
tere dar par mazar hai mera

aankh munde hai meri KHak se bhi
yan tak us ko ghubar hai mera

jite raho kyun hue raqib ke haar
yahi sine mein KHar hai mera

tere kuche ke sag ki pa-bosi
bais-e-iftiKHar hai mera

banda-e-yar 'uzlat'-e-marhum
naqsh-e-lauh-e-mazar hai mera