aaj diwane ko be-wajh sataya jae
phul taza koi baalon mein lagaya jae
main sar-e-am paDhun koi ghazal logon mein
un ki jaanib hi faqat mera ishaara jae
pas hain wo dil-e-bimar dua-go hai ajab
dard jae na mera na hi masiha jae
faisla hasb-e-tabiat ye mohabbat ne kiya
ek tarah gham ho salamat gham-e-duniya jae
rok len aaj to shahin-e-bulandi-e-KHayal
aaj 'sarwar' ke paron ko chalo katra jae
Ghazal
Aaj diwane ko be-wajh sataya jae
Sarwar nepali