اردو हिंदी
Aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya | Shaahi Shayari
aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya

Ghazal

Aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya

Sardar Saleem

;

aaj diwane ka zauq-e-did pura ho gaya
tujh ko dekha aur us ke baad andha ho gaya

dhup ke hathon pe baiat kar chuki hain Tahniyan
rang sare sabz patton ka sunahra ho gaya

kan dharta hi nahin koi meri aawaz par
aisa lagta hai ki sara shahr murda ho gaya

saya-e-diwar ko oDhe hue the sab ke sab
gir gai diwar ghar ka ghar barhana ho gaya

jism o jaan par sozish-e-gham ka hua yaksan asar
suraten sanwla gain jab dard gahra ho gaya

KHwahishati irtiqa mein dab gai hai shaKHsiyat
nafs moTa ho gaya aur shaKHs dubla ho gaya

zindagi ki yatra mein sath kya chhuTa tera
muKHtasar sa rasta pal-bhar mein lamba ho gaya

'ghaalib'-e-dana se puchho ishq mein paD kar salim
ek maqul aadmi kaise nikamma ho gaya