اردو हिंदी
Aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost | Shaahi Shayari
aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost

Ghazal

Aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost

Masud Husain Khan

;

aaj bhi tishna-labi tishna-labi hai ai dost
kya na chhalkegi jo aankhon mein bhari hai ai dost

jo kami pahle thi wo phir bhi kami hai ai dost
ye jo thoDi si hansi zer-e-labi hai ai dost

aap ko dekh mere zauq-e-fana ko bhi dekh
ye teri shishagari dard-sari hai ai dost

mai-e-gulfam mein kuchh durd-e-tah-e-jam sahi
wo KHushi kaisi KHushi jis mein kami hai ai dost

KHak mein rang-e-gulistan ko bhala dekh sakun
meri aankhon mein agar itni nami hai ai dost

tab-e-parwaz thi jin ko wo gae bhi 'masu'
hum kahan jaen ki be-baal-o-pari hai ai dost