aaj bhi teri hi surat hai muqabil mere
ye bhi ek ishq ka andaz hai qatil mere
tera mahrum-e-mohabbat hun so wapas na gaya
be-mohabbat kabhi dar se koi sail mere
husn-e-bimar tujhe phul diye hain main ne
in mein hone the magar zaKHm bhi shamil mere
aur main hun ki safar phir bhi kiye jata hun
sae ki tarah taaqub mein hai manzil mere
main samundar ke talatum se bhi kuchh sikhta hun
isi taqsir pe dushman hue sahil mere
aaj aaraishi zanjir hai gardan mein 'kamal'
kabhi hathiyar gale mein the hamail mere
Ghazal
Aaj bhi teri hi surat hai muqabil mere
Hasan Akbar Kamal