aaj bhi jis ki hai ummid wo kal aae hue
in daraKHton pe zamana hua phal aae hue
koi chehra hai jo lagta na ho murjhaya hua
koi peshani hai jis par na hun bal aae hue
ek nazar dekh le shayad tujhe yaad aa jaen
hum wahi hain teri mahfil se nikal aae hue
jaise har chiz nigahon mein Thaharna chahe
dekh lena kabhi mausam pe ghazal aae hue
kya gulabon ki wo albeli ruten ruTh gain
in dinon hadd-e-nazar tak hain kanwal aae hue
lafz mafhum se begana hain muddat guzri
apne hisse mein ghazal jaisi ghazal aae hue
hae wo log jo har waqt nazar aate the
KHak uDae hue chehre pe bhi mal aae hue
Ghazal
Aaj bhi jis ki hai ummid wo kal aae hue
Shahid Latif