اردو हिंदी
Aaj bhi hath pe hai tere pasine ki tari | Shaahi Shayari
aaj bhi hath pe hai tere pasine ki tari

Ghazal

Aaj bhi hath pe hai tere pasine ki tari

Sulaiman Areeb

;

aaj bhi hath pe hai tere pasine ki tari
yani hai aaj bhi shaKH-e-shajar-e-dard hari

pas-e-daman na sahi pas-e-gareban hi sahi
tujh pe lazim nahin ai dast-e-junun jama-dari

main ki duniya-e-hawas mein bhi sar-afraaz raha
kaam aa hi gai aaKHir meri aashufta-sari

dil ki basti se kabhi yun na guzarti thi saba
ab na paighambari hai na koi nama-bari

hum ne bhi chhoD diya maslak-e-arbab-e-wafa
wo bhi ab bhul gae shewa-e-bedad-gari

raat ka karb sameTe hue apne dil mein
jhilmilata hai kahin dur charagh-e-sahari

main ne kis dil se shab-e-gham ki sahar ki hai 'arib'
yaad aaegi zamane ko meri be-jigari