aaj be-ap ho gae hum bhi
aap ko pa ke kho gae hum bhi
dane kam the dukhon ki simran mein
thoDe moti piro gae hum bhi
der se the wo jis ke ghere mein
usi jhurmuT mein kho gae hum bhi
ja kai DhunDa kahan kahan na tumhein
jab na paya to kho gae hum bhi
nam jine ka jagna rakh kar
aaj be nind so gae hum bhi
roenge gar to jag-hansai ho
karte kya chup se ho gae hum bhi
hae re 'arzu' ki be-asi
aap be-bas the ro gae hum bhi
Ghazal
Aaj be-ap ho gae hum bhi
Arzoo Lakhnavi