اردو हिंदी
Aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai | Shaahi Shayari
aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai

Ghazal

Aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai

Muslim Ansari

;

aaj bazm-e-naz mein wo intishaar-e-naghma hai
saz-e-dil ki har sada na-sazgar-e-naghma hai

mere saz-e-gham se duniya hi nahin hai muztarib
wusat-e-kaun-o-makan bhi sogwar-e-naghma hai

dast-e-rangin mein kisi ke aa gaya phir saz-e-dil
mera har tar-e-nafas phir be-qarar-e-naghma hai

us ko aaegi nazar kya KHak taswir-e-alam
jis ke dil ka aaina pur-az ghubar-e-naghma hai

jab se shamil ho gai hai naghmagi-e-saz-e-dil
mera nala ghairat-e-kaif-e-bahaar-e-naghma hai

kash hota 'muslim'-e-rangin nawa-e-shauq bhi
aaj ka mahaul kitna sazgar-e-naghma hai