اردو हिंदी
Aaj badli hai hawa saqi pila jam-e-sharab | Shaahi Shayari
aaj badli hai hawa saqi pila jam-e-sharab

Ghazal

Aaj badli hai hawa saqi pila jam-e-sharab

Daud Aurangabadi

;

aaj badli hai hawa saqi pila jam-e-sharab
bars kali wada jate hain baras kale sahab

aarsi sun ab sharab-e-nab khincha chahiye
nind sun uTh yar ne dekha hai chashm-e-nim-KHwab

saf dil ho gar hai tujh kun KHwahish-e-tark-e-hawa
aab-e-aina upar aata nahin hargiz habab

surat-e-mahtab ro zahir hai mere ashk sun
jalwa-gar jiyun aab-e-dariya mein hai aks-e-mahtab

har kitab-e-sohbat-e-rangin ke mani dekh kar
fard-e-tanhai ke mazmun kun kiya hun intiKHab

sahab-e-mani kiya hai haq mujhe roz-e-bina
postin jama hai mere bar mane misl-e-kitab

KHema-e-gul bagh mein barpa hai ai 'daud' aaj
tan rahi hai dekh kya aawaz-e-bulbul ki tanab