aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun
meri jaanib ek nazar ai dida-war main bhi to hun
be-aman sae ka bhi rakh baad-e-wahshat kuchh KHayal
dekh kar chal darmiyan-e-baam-o-dar main bhi to hun
raat ke pichhle pahar pur-shor sannaTon ke beach
tu akeli to nahin ai chashm-e-tar main bhi to hun
tu agar meri talab mein phir raha hai dar-ba-dar
apni KHatir hi sahi par dar-ba-dar main bhi to hun
teri is taswir mein manzar mukammal kyun nahin
main kahan hun ye bata ai naqsh-gar main bhi to hun
sun asir-e-KHush-adai muntashir tu hi nahin
main jo KHush-atwar hun zer-o-zabar main bhi to hun
KHud-pasandi meri fitrat ka bhi wasf-e-KHas hai
be-KHabar tu hi nahin hai be-KHabar main bhi to hun
dekhti hai jun hi paspai pe aamada mujhe
ruh kahti hai badan se be-hunar main bhi to hun
dasht-e-hairat ke safar mein kab tujhe tanha kiya
ai junun main bhi to hun ai ham-safar main bhi to hun
kuza-gar be-surati sairab hone ki nahin
ab mujhe bhi shakl de is chaak par main bhi to hun
yun sada deta hai akasr koi mujh mein se mujhe
tujh ko KHush rakkhe KHuda yunhi magar main bhi to hun
Ghazal
Aaj baam-e-harf par imkan bhar main bhi to hun
Irfan Sattar