aaj achanak phir ye kaisi KHushbu phaili yaadon ki
dil ko aadat chhuT chuki thi muddat se fariyaadon ki
diwanon ka bhes bana len ya surat shahzadon ki
dur se pahchani jati hai shakl tere barbaadon ki
shart-e-shirin kya puri ho tesha-o-jurat kuchh bhi nahin
ishq o hawas ke moD pe yun to bhiD hai ek farhadon ki
ab bhi tere kuche mein hawaen KHak uDati phirti hain
baqi hai ye ek riwayat ab bhi tere barbaadon ki
koi teri taswir bana kar la na saka KHun-e-dil se
lagti hai har roz numaish yun to nae bahzadon ki
Ghazal
Aaj achanak phir ye kaisi KHushbu phaili yaadon ki
Unwan Chishti