aaiye ro len kahin rone se chain aa jaega
warna dard-e-dil bhari mahfil mein pakDa jaega
chand ki chahat hai lekin chand ko kam dekhiye
warna jab aankhon mein bas jaega gahna jaega
jumbish-e-mauj-e-saba se bhi agar lab hil gae
baat pakDi jaegi mahshar uThaya jaega
sardiyon ki os mein ThiThura hua ek ajnabi
kal teri diwar ke sae mein paya jaega
did ki mohlat to milti hai magar kya dekhiye
aankh bujh jaegi aaKHir phul kumhla jaega
ai saba fursat nahin KHakistar-e-dil se na khel
hum agar roe to phir ta-der roya jaega
Ghazal
Aaiye ro len kahin rone se chain aa jaega
Khursheed Rizvi