aaiye jalwa-e-didar ke dikhlane ko
phunk de barq-e-tajalli mere kashane ko
dekhiye kaun si ja yar ka milta hai pata
koi kabe ko chala hai koi but-KHane ko
teri furqat mein tasawwur hai ye bedardi ka
KHwab hum jaante hain nind ke aa jaane ko
baad mere jo hua dasht mein majnun ka guzar
ro diya dekh ke KHali mere virane ko
kaam aa jati hai ham-bazmi bhi raushan dil ki
shama ham-rang bana leti hai parwane ko
aaj phir shahr ke kuche nazar aate hain udas
kis taraf le gai wahshat tere diwane ko
ai junun tang hui wusat-e-sahra tujh se
ab kahan jae tabiat koi bahlane ko
gul pe bulbul tha kahin shama pe parwana tha
hum ne har rang mein dekha tere parwane ko
wa-shud-e-dil na hui ghuncha-e-KHatir na khila
kaun se bagh mein aae the hawa khane ko
main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha
dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
Ghazal
Aaiye jalwa-e-didar ke dikhlane ko
Waheed Allahabadi