aaiye aasman ki or chalen
sath le kar zamin ka shor chalen
chand ulfat ka istiara hai
jis ki jaanib sabhi chakor chalen
yun dabe panw aai teri yaad
jaise chupke se shab mein chor chalen
dil ki duniya ajib duniya hai
aql ke us pe kuchh na zor chalen
sabz-rut chhai yun un aankhon ki
jis tarah nach nach mor chalen
tum bhi yun mujh ko aa ke le jao
jaise le kar patangen Dor chalen
Ghazal
Aaiye aasman ki or chalen
Hanif Tarin