اردو हिंदी
Aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi | Shaahi Shayari
aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi

Ghazal

Aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi

Hasan Najmi Sikandarpuri

;

aainon se pahle bhi rasm-e-KHud-numai thi
dil shikar hote the aisi dilrubai thi

phul phul baam-o-dar raste hain gul-paikar
wo udhar se guzre the ya bahaar aai thi

pas ka musafir kyun uTh ke dur ja baiTha
nam puchh lene mein aisi kya burai thi

kuchh shafaq shafaq aariz kuchh ufuq ufuq chehre
aarzu ne bazm apni raat yun sajai thi

kitna mohtaram tha main bhulta nahin 'najmi'
bhuk bhi mere ghar mein sar jhuka ke aai thi