aainon mein aks bin kar jin ke paikar aa gae
halqa-e-tanhai se wo log bahar aa gae
saeban ne tapte suraj se milai kya nazar
an-ginat suraj mere kamre ke andar aa gae
qainchiyon ko phir nae sar se milenge mashghale
phir uDanon ke liye bazu mein shahpar aa gae
wahshaton ki dad ko muhtaj hi rahte magar
is haweli se guzarna tha ki patthar aa gae
mishal-e-rah-e-mohabbat hain mere naqsh-e-qadam
jin pe chal kar manzilon tak aaj rahbar aa gae
ishq ki pabandiyan bekar ho kar rah gain
hum tasawwur mein kisi ke honT chhu kar aa gae
aaine alfaz ke 'sultan' karte hain kamal
bal jabinon par paDe hathon mein KHanjar aa gae
Ghazal
Aainon mein aks bin kar jin ke paikar aa gae
Sultan Nizami