aaine se baat karna itna aasan bhi nahin
aks ki tah se ubharna itna aasan bhi nahin
KHwahishen sine mein ug aati hain jangal ki tarah
zindagi banhon mein bharna itna aasan bhi nahin
apne hi qadmon ki aahaT jis jagah chubhne lage
aisi rahon se guzarna itna aasan bhi nahin
jaanti hun main juda hai mere KHwabon ka mizaj
in ujalon mein sanwarna itna aasan bhi nahin
sath rahta hai hamesha tera gham tera KHayal
ab hua malum marna itna aasan bhi nahin
kaisi kaisi unchi diwaren khaDi hain har taraf
dil mein jo hai kar guzarna itna aasan bhi nahin
rakh diya hai aap ki chahat ne mujh ko jis jagah
is bulandi se utarna itna aasan bhi nahin
sochna paDta hai tanhai mein KHud ko barha
apne hi sach se mukarna itna aasan bhi nahin
jaane 'usha' kitne bandhan kitne rishte toD kar
dil ki KHali god bharna itna aasan bhi nahin
Ghazal
Aaine se baat karna itna aasan bhi nahin
Usha Bhadoriya