اردو हिंदी
Aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa | Shaahi Shayari
aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa

Ghazal

Aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa

Zia Faruqi

;

aaine mein pas-e-manzar ka ubharna kaisa
jhil jaisi teri aankhon mein ye jharna kaisa

umr-bhar sath raho to kahin mahke aangan
kisi KHushbu ki tarah chhu ke guzarna kaisa

wo to ek KHwahish-e-nakaam thi jo chiKH paDi
be-sabab apni hi aawaz se Darna kaisa

gard shishon se haTao to koi baat bane
andhe aainon ke aage ye sanwarna kaisa

phenk do bar-e-alam kuchh to safar aasan ho
bojh lade hue duniya se guzarna kaisa

ai mere shor-e-nafas bar-e-samaat se gurez
nind ke waqt sadaon ka ubharna kaisa

gosh-e-ummid hue jabki sadaon ke asir
fath phir koh-e-nida ka 'ziya' karna kaisa