اردو हिंदी
Aaine mein KHud apna chehra hai | Shaahi Shayari
aaine mein KHud apna chehra hai

Ghazal

Aaine mein KHud apna chehra hai

Zaheer Ghazipuri

;

aaine mein KHud apna chehra hai
phir bhi kyun ajnabi sa lagta hai

jis pe insaniyat ko naz tha kal
ab wo sab se baDa darinda hai

fikr bhi hai ajib sa jangal
jis ka mausam badalta rahta hai

kaise apni giraft mein aae
aagahi ek basit dariya hai

is mein zulmat panap nahin sakti
zehn suraj ki tab rakhta hai

wo samajhta hai aaine ki bisat
jis ne patthar kabhi tarasha hai

kya hamari wafa-shiari se
har jagah intishaar barpa hai