aaine kitne yahan TuT chuke hain ab tak
aafrin un pe jo sach bol rahe hain ab tak
TuT jaenge magar jhuk nahin sakte hum bhi
apne namon ki hifazat mein tane hain ab tak
rahnuma un ka wahan hai hi nahin muddat se
qafile wale kise DhunD rahe hain ab tak
apne is dil ko tasalli nahin hoti warna
hum haqiqat to teri jaan chuke hain ab tak
fath kar sakta nahin jin ko junun mazhab ka
kuchh wo tahzib ke mahfuz qile hain ab tak
un ki aankhon ko kahan KHwab mayassar hote
nind bhar bhi jo kabhi so na sake hain ab tak
dekh lena kabhi manzar wo ghane jangal ka
jab sulag uTThenge jo ThunTH dabe hain ab tak
roz nafrat ki hawaon mein sulag uThti hai
ek chingari se ghar kitne jale hain ab tak
un ujalon ka naya nam batao kya ho
jin ujalon mein andhere hi pale hain ab tak
pur-sukun aap ka chehra ye chamakti aankhen
aap bhi shahr mein lagta hai nae hain ab tak
KHushk aankhon ko rawani hi nahin mil pai
yun to hum ne bhi kai sher kahe hain ab tak
dur apni hai abhi pyas bujhana mushkil
aur 'dwij' aap to do kos chale hain ab tak
Ghazal
Aaine kitne yahan TuT chuke hain ab tak
Dwijendra Dwij