aaine kahte hain is KHwab ko ruswa na karo
aise khoe hue andaz se dekha na karo
kaise aa jati hai konpal pe ye jadu ki lakir
din guzar jate hain mahsus karo ya na karo
kahin diwar-e-qayamat kabhi zanjir-e-azal
kya karo ishq-e-ziyan-e-kesh mein aur kya na karo
bhagte jao kisi samt kisi sae se
tazkira ek hai afsana-dar-afsana karo
phir koi taza gharaunda kisi virane mein
ganw ko shahr karo shahr ko virana karo
bazm-e-imkan hui do ghunT lahu aankhon mein
hirs kahti hai ki kaunain ko paimana karo
kyun na ho mujh se shikayat tumhin tum wo ho ki phir
use jita bhi na chhoDo jise diwana karo
ek hi raat sahi phul to khulte hain 'KHizan'
maut mein kya hai ki jine ki tamanna na karo
Ghazal
Aaine kahte hain is KHwab ko ruswa na karo
Mahboob Khizan