aaine ka sath pyara tha kabhi
ek chehre par guzara tha kabhi
aaj sab kahte hain jis ko naKHuda
hum ne us ko par utara tha kabhi
ye mere ghar ki faza ko kiya hua
kab yahan mera tumhaara tha kabhi
tha magar sab kuchh na tha dariya ke par
is kinare bhi kinara tha kabhi
kaise TukDon mein use kar lun qubul
jo mera sare ka sara tha kabhi
aaj kitne gham hain rone ke liye
ek tere dukh ka sahaara tha kabhi
justuju itni bhi be-mani na thi
manzilon ne bhi pukara tha kabhi
ye nae gumrah kya jaanen mujhe
main safar ka istiara tha kabhi
ishq ke qisse na chheDo dosto
main isi maidan mein haara tha kabhi
Ghazal
Aaine ka sath pyara tha kabhi
Shariq Kaifi