aaina toD de riha kar de
bewafa ek yahi wafa kar de
rishta-e-dard toD de dil se
rang ko phul se juda kar de
zindagi-bhar tujhi ko chaha hai
qarz kuchh to mera ada kar de
de raha hai zakat-e-husn agar
mere haq se zara baDha kar de
muddaten ho gain tujhe dekhe
ab to milne ka silsila kar de
phir koi gul khile sar-e-mizhgan
phir dar-e-KHwab koi wa kar de
ek sitare ko baKHsh kar mere KHwab
phir use mera aaina kar de
baiThta ja raha hai jaan ka ghubar
ab use mujh se mawara kar de
ai faqir-e-dayar-e-laili-jaan
mere haq mein bhi kuchh dua kar de
Ghazal
Aaina toD de riha kar de
Ayub Khawar