aaina sina-e-sahab-nazaran hai ki jo tha
chehra-e-shahid-e-maqsud ayan hai ki jo tha
ishq-e-gul mein wahi bulbul ka fughan hai ki jo tha
partaw-e-mah se wahi haal-e-katan hai ki jo tha
aalam-e-husn KHuda-dad-e-butan hai ki jo tha
naz-o-andaz bala-e-dil-o-jaan hai ki jo tha
rah mein teri shab-o-roz basar karta hun
wahi mil aur wahi sang-e-nishan hai ki jo tha
roz karte hain shab-e-hijr ko bedari mein
apni aankhon mein subuk KHwab-e-giran hai ki jo tha
ek aalam mein ho har-chand masiha mashhur
nam-e-bimar se tum ko KHafaqan hai ki jo tha
daulat-e-ishq ka ganjina wahi sina hai
dagh-e-dil zaKHm-e-jigar mohr-o-nishan hai ki jo tha
naz-o-andaz-o-ada se tumhein sharm aane lagi
aarzi husn ka aalam wo kahan hai ki jo tha
jaan ki taskin ke liye haalat-e-dil kahte hain
be yaqini ka teri hum ko guman hai ki jo tha
asar-e-manzil-e-maqsud nahin duniya mein
rah mein qafila-e-reg-e-rawan hai ki jo tha
dahan us ru-e-kitabi mein hai par na-paida
ism-e-azam wahi quran mein nihan hai ki jo tha
kaba-e-madd-e-nazar qibla-numa hai ta-haal
ku-e-jaanan ki taraf dil nigaran hai ki jo tha
koh-o-sahra-o-gulistan mein phira karta hai
mutalashi wo tera aab-e-rawan hai ki jo tha
sozish-e-dil se tasalsul hai wahi aahon ka
ud ke jalne se mujmir mein dhuan hai ki jo tha
raat kaT jati hai baaten wahi sunte sunte
sham-e-mahfil sanam-e-charb-zaban hai ki jo tha
pa-e-KHam maston ke hu-haq ka jo aalam hai so hai
sar-e-mimbar wahi waiz ka bayan hai ki jo tha
kaun se din nai qabren nahin is mein bantin
ye KHaraba wahi ibrat ka makan hai ki jo tha
be-KHabar shauq se mere nahin wo nur-e-nigah
qasid-e-ashk shab-o-roz wahan hai ki jo tha
lailatul-qadr kinaya na shab-e-wasl se ho
us ka afsana miyan-e-ramazan hai ki jo tha
din-o-duniya ka talabgar hanuz 'atish' hai
ye gada sail-e-nadq-e-do-jahan hai ki jo tha
Ghazal
Aaina sina-e-sahab-nazaran hai ki jo tha
Haidar Ali Aatish