اردو हिंदी
Aaina samne rakhoge to yaad aaunga | Shaahi Shayari
aaina samne rakhoge to yaad aaunga

Ghazal

Aaina samne rakhoge to yaad aaunga

Rajendra Nath Rahbar

;

aaina samne rakhoge to yaad aaunga
apni zulfon ko sanwaroge to yaad aaunga

rang kaisa ho ye sochoge to yaad aaunga
jab naya suiT KHaridoge to yaad aaunga

bhul jaana mujhe aasan nahin hai itna
jab mujhe bhulna chahoge to yaad aaunga

dhyan jaega bahar-haal meri hi jaanib
tum jo puja mein bhi baiThoge to yaad aaunga

ek din bhige the barsat mein hum tum donon
ab jo barsat mein bhigoge to yaad aaunga

chandni raat mein phulon ki suhani rut mein
jab kabhi sair ko nikaloge to yaad aaunga

jin mein mil jate the hum tum kabhi aate jate
jab bhi un galiyon se guzroge to yaad aaunga

yaad aaunga udasi ki jo rut aaegi
jab koi jashn manaoge to yaad aaunga

shelf mein rakkhi hui apni kitabon mein se
koi diwan uThaoge to yaad aaunga

shama ki lau pe sar-e-sham sulagte jalte
kisi parwane ko dekhoge to yaad aaunga

jab kisi phul pe ghash hoti hui bulbul ko
sehn-e-gulzar mein dekhoge to yaad aaunga