aaina milta to shayad nazar aate KHud ko
ab wo hairat hai ki pahron nahin pate KHud ko
aashna log jo anjam-e-safar se hote
surat-e-naqsh-e-qadam aap miTate KHud ko
ek duniya ko giraftar-e-gham-e-jaan dekha
yun na hota to tamasha nazar aate KHud ko
aaina-rang ka sailab hai payab bahut
aankh milti to ye manzar bhi dikhate KHud ko
ab ye dekho ki hamin rah hamin manzil hain
umr-bhar dekh chuke Thokaren khate KHud ko
aasman shab ko khule dasht ha jhuk aata hai
KHushbu uDti hai ki sahra hain bulate KHud ko
kya ajab koi kiran ham-safar-e-KHwab mile
ta-sahar le ke chalen nind ke mate KHud ko
Ghazal
Aaina milta to shayad nazar aate KHud ko
Tauseef Tabassum