aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum
pherenge apni taraf ru-e-dil-aram ko hum
sham se subh talak daur-e-sharab aaKHir hai
rote hain dekh ke KHandan dahan-e-jam ko hum
yaad rakhne ki jagah hai ye tilism-e-hairat
subh ko dekhte hi bhul gae sham ko hum
aankh wo fitna-e-dauran kise dikhlata hai
shoabada jaante hain gardish-e-ayyam ko hum
fitna-angezi bhi chhupti hai kahin parde mein
sunte hain gabr o musalman se tere nam ko hum
KHun-e-qasid to wo saffak samajhta hai halal
kisi ghammaz se bhejwaenge paigham ko hum
panw pakDe hain zamin ne ye tere kucha ki
rah-e-sad-sala samajhte hain ab ek gam ko hum
dida-e-yar kahen kya use kaif-e-mai mein
bhun kar roz gazak karte hain baadam ko hum
beza-e-KHat se hui us ki kudurat dah-chand
ab safai ke liye DhunDenge hajjam ko hum
yahi tahsil-e-mohabbat ka hai aalam ta-haal
puKHta karte hain hanuz aarzu-e-KHam ko hum
lutf hasil ho jo zulfon mein giraftari ka
mol len dil ki asiri ke liye dam ko hum
kucha-e-yar mein apna jo guzar hota hai
nigaran rahte hain hasrat se dar-o-baam ko hum
husn se ishq ki KHatir hai KHuda ne bheja
karte hain 'atish' use aae hain jis kaam ko hum
Ghazal
Aaina-KHana karenge dil-e-nakaam ko hum
Haidar Ali Aatish