aaina hun ki main patthar hun ye kab puchhe hai
zist mujh se mere jine ka sabab puchhe hai
munkashif hone lage jab se rumuz-o-asrar
kuchh sawal ab dil-e-masum ajab puchhe hai
maqsad-e-zist, koi KHwab ya KHwahish koi?
hum ne jab si liye lab apne wo tab puchhe hai
har koi apni tag-o-dau mein hai masruf yahan
kaun ab kis ki udasi ka sabab puchhe hai
wahshat-e-dil mein kami ho bhi to kya, haal-e-darun
aur baDh jati hai kuchh, hum se wo jab puchhe hai
jis ne barbaad kiya KHana-e-dil rah rah kar
kya qayamat hai, wahi is ka sabab puchhe hai
koi bhi rishta nikalta nahin hum donon mein
phir bhi kyun hum se hamara wo nasab puchhe hai
sath guzre the kabhi arsa hua, mujh se magar
aaj bhi tera pata rah-e-talab puchhe hai
ek nida jis ko samajhte hain zamir apna sabhi
qabl-e-laghzish hamein is shakl mein rab puchhe hai
ab ye aalam hai ki KHud wahshat-e-dil bhi 'KHalid'
ghar mere der se aane ka sabab puchhe hai

Ghazal
Aaina hun ki main patthar hun ye kab puchhe hai
Quaiser Khalid