اردو हिंदी
Aaina hai ye jahan isMein jamal apna hai | Shaahi Shayari
aaina hai ye jahan isMein jamal apna hai

Ghazal

Aaina hai ye jahan isMein jamal apna hai

Gulam Yahya Huzur Azimabadi

;

aaina hai ye jahan is mein jamal apna hai
surat-e-ghair kahan hai ye KHayal apna hai

bas ki hon hech-madan us pe main karta hun ghamanD
be-kamali mein mujhe apni kamal apna hai

nala-o-ah hai ya girya-o-zari hai yahan
puchhte kya ho jo kuchh hijr mein haal apna hai

talib ek bose ka hun dete ho kya saf jawab
kuchh bahut bhi nahin thoDa hi sawal apna hai

hai bura ya bhala jo kuchh ki hai tera hai 'huzur'
is ke tain ghar se mat apne tu nikal apna hai