aaina dekhun magar kya dekhun
KHud ko hathon se phisalta dekhun
manzil-e-shauq kahin aur nahin
Dub jaun to kinara dekhun
koi qatil hi kahin mil jae
ek insan to zinda dekhun
wo jo aaya hai to kya aaya hai
samne aur hi chehra dekhun
KHuld ko is liye chhoD aaya tha
ye tamanna thi ki duniya dekhun
aaj phir dil mein wahi KHwahish hai
yani kuchh us se nirala dekhun
aur chaara nahin 'tasir' koi
jo dikhae ye zamana dekhun
Ghazal
Aaina dekhun magar kya dekhun
sharmaa Taseer