اردو हिंदी
Aaina dekhta rahta hai sanwarne wala | Shaahi Shayari
aaina dekhta rahta hai sanwarne wala

Ghazal

Aaina dekhta rahta hai sanwarne wala

Kavita Kiran

;

aaina dekhta rahta hai sanwarne wala
kaun ab hoga yahan pyar pe marne wala

kis ki chahat ka bharam rakhta hai dil mein apne
teri KHatir nahin koi bhi marne wala

bazm se uThne se pahle ye zara soch bhi le
KHwab ban jaega nazron se guzarne wala

har ghaDi wo bhi to logon ki tarah hain rahta
pahle simTa tha kaha KHud se bikharne wala

hum nahin kahte ye haalat batate hain hamein
kab sukun pata hai haalat se Darne wala

gardishen waqt se kahta hai koi ja ke 'kiran'
ek lamha bhi nahin pas Thaharne wala