aaina dekha to surat apni pahchani gai
bhul hi baiThe the KHud ko umr arzani gai
jaante hain is talatum-KHez dariya ki ada
ek hamara nam sun kar mauj-e-sailani gai
ek charagh-e-dil bacha tha aur sannaTe ki shab
zau-fishan taron ki maddham KHwab-afshani gai
kaun hai jo ji sakega moajizon se sanehe
us nigah-e-shauq ki hum par mehrbani gai
aaj shayad Dub kar us ne kiya hai hum ko yaad
is hawa-e-sard ki rangin nadani gai
kis qadar tanha hai dil is ajnabi si rah par
baghban ki jo nawazish thi nigahbani gai
ab mujhe is dil ke luTne ka nahin koi malal
wae shauq-e-dil salamat ho pashemani gai
jaaniye kya kya dukhon ne gher kar ruswa kiya
chashm-e-tar mein Dubte taron ki hairani gai

Ghazal
Aaina dekha to surat apni pahchani gai
Shaista Mufti